Khushbu thi us phool mein,
kar baitha ek bhool main,
use tod liya.
Kuch der baad woh murjhaane laga,
main bhi ghar jaane laga,
tabhi woh bola,
“Marne se pehle mujhe udna hai,
pal do pal hi sahi,
hawaaon pe savaar hona hai,
us titli ki tarah,
jo mujhe aksar chiddha jaati thi,
hawa chalti,
aur woh kahin door nikal jaati thi.. “
Maine apni khwaish puri kar li,
ab uski karne ka waqt tha,
Hawa ke khilaaf halki si mutthi khol di,
aur uski pankhudiyon ko pankh mein tabdeel hote dekha,
Bujhte diye ko jaise asmaan ki mehfil hote dekha
Lajawab
LikeLiked by 1 person
Thanks a ton
LikeLike