Umr aur waqt se aage badhe,
par khayaal umeedon aur yaadon ke beech wahi the.
Auhde aur zimmedaari se aage badhe,
par faasla ghar aur naukri ke beech wahi tha.
Nakaamiyo aur hatasha se aage badhe,
par “yun hota toh kya hota” is haseen sapne aur haqeqat ke beech palkon ke jhapak wahi thi.
Kuch kadmo ke saath chalne aur kuch haatho ke chhotne se aage badhe,
par nayaab mehfilo aur bhoola denewale vaakyo ke beech log wahi the.
Beautiful! Reminds of Ghalib where he says, “Hui muddat ke Ghalib mar gaya par yaad aata hai. Woh har ek baat pe kehna, ke yoon hota to kya hota.”
LikeLiked by 1 person
Kya baat. Thanks for compliment. Humbled
LikeLiked by 1 person