Raat ka gehra andhera,
ya din ka behra ujala,
cheekhti hui tanhai,
ya sannate mein sehmi dhadkan,
raaste mein bulaati anjaan sarai,
ya intezar mein taktaa ghar
khidkiyon se jhaankti umeed,
ya darwaza khat-khataata darr,
Tag: hindi
Khud se ek mulaqat
dil ki gehrai mein,
andheri khaai mein,
khudse ladaai mein,
lamhe khaas milenge,
raaz milenge,
zakhm naraaz milenge,
dhundh mein apni sirat se saamna hoga,
bachke nikalna asaan na hoga,
dhadkano ko halki pareshaani hogi,
is mulaqat ki hogi itni ki kahaani,
kuch gehri saansein aur aakhon se behta paani.
Ateet
Haan ateet apne vartamaaan mein itna sundar nahi hota,
uski sundarta beet te waqt ke saath badhti hai.
Ateet ek jagah hai mere liye,
jaha mein baar baar jata hun,
kyunki woh meri zindagi ki haqeeqat thi kisi waqt,
toh ekdum yathaarth bhi nahi hai.
Waha jaakar lagta hai
jaise kisine vartamaan ka bojh aur pareshaani niche rakh dene ka mauka diya ho,
thik usi tarah jis tarah school mein kisi period mein daant padi ho,
par recess ka maza phir bhi aa raha ho.
Safar
Lehro ka safar jaari hai,
Kal dariya tha,
Aaj talaab ki baari hai...
Sheher
Unchaai se nazar aata sheher,
ya gehrayee se katraata sheher,
Roshni ko bikherta sheher,
ya andhero ko chhupata sheher,
Rango ko nikhaarta sheher,
ya dhue se kaala hota sheher,
Sapno ko asmaan deta sheher,
ya chhote kamro mein ghunt ta sheher,
Gairon mein apnapan dhundhta sheher,
ya apno se door le aata sheher,
Zindagi
Zindagi mushkil hai,
tum asaan hoke dekho.
Zindagi jasbaat-e-dil hai,
tum khayaal banke dekho.
Zindagi kadmo ke nishaan chhodne ki justju hai,
tum udaan bharke dekho.
Zindagi ek sire se shuru aur doosre par khatm hai,
tum unke darmiyan ek yaadgar musafir banke dekho
Duniya ka dastoor
Dil saaf ho na ho,
zubaan saaf honi chahiye.
Raasta seedha ho naa ho,
reedh seedhi honi chahiye.
Khaane mein talkhi pasand ho naa ho,
alfaaz mein shehed ghulna chahiye.
Kya dekhta hai
Sadak par bhaagti hui bheed,
ya bheed ko bhagaata hua waqt,
Din ka thak kar dhalna,
ya andhero ka roz ghar badalna,
Aakhon se hoke guzarte nazaare,
ya naa nazar aanewali haqeqat,
Zindagi
kya mein jee raha hun,
ya yeh bas ek soch hai,
khayalon mein, khwabo mein,
mann hi mann bante mit te sawalon mein uljha hua,
jo kar raha hun aur jo ho raha hai hai,
uske fark ko nazarandaaz karta hua,
daraaron mein kabhi khaara paani toh kabhi umeed bharta hua,
kisi aur duniya mein saans le raha hun,
kya mein jee raha hun
ya yeh bas ek soch hai….
कौन हो तूम
शरद पूनम का चाँद हो तूम,
या मेरे सपनो का बाँध हो तूम,
होंठों पे बिखरा गुलाल हो तूम,
या भौहों की मधमस्त चाल हो तूम,
आज का इंतज़ार हो तूम,
या कल की मुलाकात हो तूम,
सदा धधकता जस्बात हो तूम
या मेरे प्रेम का सार हो तूम.